ham hain masta maula apni dhun mein hain magan dil ke badshaah jaa re jaa mohbbat teri kya haqeeqat kab kya rang dikhaye kisko kya pata ek najar idhar bhi dekh yaar pyar kar dil diya hain tujhko maine aeitbaar kar
arey yaar tony ek sher yaad aaya sunau chal suna aapki nigaah ne kaha toh kutch jaroor hain mera dil machal gaya toh mera kya kasoor hain waah waah kya baat hain arey goli kyo goli de raha hain yaar yeh toh kisi picture ka gana hain mere dost tu original sun aa mera original suna maikashi pe is kadar kyo aapko garoor hain hamko dekhiye hajur bin piye saroor hain haay kya baat hain kya baat hain mar gaya
aapki nigaah ka asar hain yeh ya ke maikashi ka yeh khumar hain hamko aaisa lag raha hain jaane kyo ke aapko bhi hamse bahut pyar hain hamne baat aaj tumse kehni thi yahi kabse dhundte the magar tum miley nahi ham hain masta maula apni dhun mein hain magan dil ke badshaah
aye sun ek naya sher sun aa sharab ke upar hain acha suna re mera apna hain kabhi maikhane tak jaate hain aur kam hi peete hain ghata zulfo ki cha jaaye toh bemausam bhi peete hain arey abhi toh waah bol arey phir se goli de raha hain yaar yeh toh pankaj udhas ki ghazal hain arey yaar har baar pakad leta hain tu chal tu mera sun ekdum original hain ekdum suna jo anthi ke adde par jaate hain woh kam kyo peete hain yeh kaise bewde hain jo peg gin gin ke peete hain
aapke bina na jee sakenge ham baat yahi sach hain maan lijiye bebasi hamari jaan lijiye uske baad chahe jaan lijiye kaisi bebasi hain aapko hain kaisa gam ham bhi aapke hain dil bhi aapka sanam ham hain masta maula apni dhun mein hain magan dil ke badshaah jaa re jaa mohbbat teri kya haqeeqat kab kya rang dikhaye kisko kya pata ek najar idhar bhi dekh yaar pyar kar dil diya hain tujhko maine aeitbaar kar